Friday, October 15, 2010

LAKSHYA

Lakshya hamesha bada rakho
lakshya par hamesha chale chalo !
Sambhav hai baadhayein aayen,
par baadhaon se lade chalo !!
lakshya hamesha bada rakho !!
Koi ameer hai, koi gareeb
apni apni takdeer !
Har manzil tumko mil jayegi,
kartavya path par yadi badhe chalo !!
lakshya hamesha bada rakho !!
Daulat ke lalach mein na fanso,
galat raah par tum na chalo !
Choologe ek din aakaash bhi,
Yadi lakshya par apne tum adde raho !!
lakshya hamesha bada rakho !!
lakshya hamesha bada rakho !!

1 comment:

  1. Your start is wonderful, gud piece of work, reflects your sincerity, hardwork, and 120% of dedication towards Art....

    Well, lakshya is lakshya, woh bada chotta nahi hota...!!

    I must also appreciate some lines such as ....."Har manzil...... badhe chalo !!
    thn Choologey...aakash..""

    ReplyDelete